Hi viewers, we have the latest collection of famous dosti shayari in English. If you are a poetry lover then you can use this dosti shayari english to express your feelings with the help of this beautiful shayari your friends. We have collected this Friendship Dosti Shayari English from different books and online sources.
If you like any of the below friendship dosti shayari in Urdu, then you can copy or download it.
Also Read: Dosti Shayari Hindi – Top 10 Best Dosti Poetry in Urdu 2 Line
Friendship Dosti Shayari – Dosti Sad Shayari – Dosti Shayari in English
Teri khushiyon ka sabab yaar koi aur hai na
Dosti mujh se aur pyaar koi aur hai na
Mubarak ho doston naya saal aaya hai
Kab tak jeeyo gy nafraton ke saye mein
ghum karb laye ga yeh saal doston
ranjishy barhaye ga yeh naya saal doston
Ai dost mohabbat ke sadme tanha hi uThane padte hain
Rahbar to faqat is raste men do gaam sahara dete hain
Dil abhi puri tarah TuuTa nahin
Doston ki mehrbani chahiye
Teri baten hi sunane aaye
Dost bhi dil hi dukhane aaye
Is se pahle ki be-vafa ho jaaen
Kyuun na ai dost ham juda ho jaaen
Dosti Shayari English Text
Agar tumhari ana hi ka hai saval to phir
Chalo main haath badhata huun dosti ke liye
Tum takalluf ko bhi ikhlas samajhte ho ‘faraz’
Dost hota nahin har haath milane vaala
Thak Gaya Hai Dil-e-Wahshi Mira Faryad Se Bhi
Ji Bahalta Nahi Ai Dost Teri Yaad Se Bhi
Dushmanon Ke Sath Mere Dost Bhi Azad Hain
Dekhna Hai Khinchta Hai Mujh Per Phely Teer Kon
Ye Kahan Ki Dosti Hai K Bane Hain Dost Naseh
Koi Charasaz Hota Koi Gham-Gusar Hota
Dosti Shayari English
Ye Fitna Aadmi Ki Khana-Wirani Ko Kya Kam Hai
Hue Tum Dost Jis Ke Dushman Us Ka Aasman Kyun Ho
Faida Kya Soch Akhir Tu Bhi Daana Hai ‘Asad’
Dosti Nadan Ki Hai Jee Ka Ziyan Ho Jayega
Dost Gham-khwari Mai Meri Saayi Farmavenge Kya
Zakham Ke Bharte Talak Nakhun Na Barh Javenge Kya
Dil Mai Zauq-e-Wasl o Yad-e-Yar Tak Baaqi Nahi
Aag Is Ghar Mai Lagi Aisi Ki Jo Tha Jal Gaya
Samundar Baha Dene Ka Jigar Toh Rakhte Hain Lekin,
Humein Aashiqi Ki Numaish Ki Aadat Nahi Hai Dost.
Dil Se Khayal e Dost Bhulaya Na Jaye Ga,
Seene Mein Dagh Hai Ke Mitaya Na Jaye Ga
Nafraton Ke Teer Khaa Kar, Dosto’n Ke Sheher Mein,
Hum Ne Kis Kis Ko Pukaara, Yeh Kahani Phir Sahee
Beautiful Dosti Shayari
Maikhane Mein Aaunga Magar Piyunga Nahi Dosto,
Yeh Sharaab Mera Gham Mitane Ki Aukat Nahi Rakhti
Karke Kajal Se Dosti Ek Din,
Main Bhi Utrunga Teri Aankhon Mein
Mohabbat Andheri Raat Ban Ke Aa Jayegi Ek Din Dost,
Yun Apne Sab Rishton Se Teri Bagawat Achi Nahi
Chand Tanha Dekhayi Deta Hai,
Kya Sitaron Se Dosti Na Rahi
Dosti Aam Hai Lekin Ae Dost,
Dost Milta Hai Bari Mushkil Se
Main Apni Dosti Ko Sheher Mein Ruswa Nahi Karta,
Mohabbat Karta Hoon Magar Charcha Nahi Karta
“Hazaron Mehfilen Hain Lakho Mely Hain
Par Jahan Tum Nahi Wahan Hum Akely Hain”
“Dunia Main Do Char Cheezen Kabhi Nahi Bikti
Ek Dosti Aur Dosra Sacha Piyar”
“Doston Ki Zaban Ko Khulny Do
Bhool Jao Gay Zakham Khanjar Kay”
Wo Mera Dost Bhi Hai Aur Dushman Bhi
Wohe Mera Dil Bhi Hai Or Dharkan Bhi”
Dosti Shayari in English Image
“Dost Bhi Milty Hain Mehfil Bhi Jami Rehti Hai
Ik Tum Nahi Hoty To Har Shay Me Kami Hoti Hai”
“Dushmano Say Piyar Hota Jaye Ga
Dosto Ko Aazmaty Jaiye”
Dosti Shayari Status
“Meri Dosti Ka Baagh Chota Sahi Magar
Phool Sary Ghulab Rakhta Hon
Kam Zaror Hain, Magar Jo Dost
Rakhta Hon Lajawab Rakhta Hon”
“Dosti Jab Kisi Say Ki Jaye
Dushmano Ki Bhi Raiye Li Jaye”
“Khuda Kary Ye Dosti Itni Gehri Ho
Waqt Tera Aaye Aur Mout Meri Ho”
“Dosti Panch Lafzon Say Hoti Hai
Daal….Dil Aur Dua Say
Wao….Wada Or Wafa Say
Seen…. Sath Aur Sachai Say
Tay…. Tahafaz Aur Tasali Say
Ye….Yaad Aur Yaqeen Say”
Dil sy Khyal Dost Bulya Na Jay Ga
Seny Mai Dag Hai Ky Mitya Nahi Jay Ga
Dum Nahi Kisi Mai Ky Mita Saky Hamari Dosti Ko
Zang Talwaro Ko Lagta Hai Gigri Yaro Ko Nahi
Yu Lagy Dost Tera Mug Sy Khuf Ho Jana
Jis Tarah Phol sy Khasbu Ka Juda Ho Jana
Na Muhabbat Na Dosti Humy Kuch Ras Nahi
Sab Badal Jaty Hai Hamary Dil Mai Jaga Banany Ky Baad
Dosti Shayari English Hindi
Muskalat Ka Pather Tarashny Ky Baad
Jo Heaa Nikalta Hai Wo Kamyabi Hai
Yaha Qadam Qadam Par Nay Fankar Milty Hai
Kismat Walo Ko Suchy Yar Milty Hai
Jo Dil Ko Acha Lagta Hai Isi Ko Dost Kahta Hon
Munafiq Ban Ky Rishto Ki Syasat nai Karta Mai
Zinda Rahny Ky Bahany Dondy
Ao Dost Purany Dondy
Dost Bayshak Ek Ho Magar
Jo Alfaz sy Zyada Khamoshi Smjy
Muhabbat Or Dosti
Yeh Do Chezy Har Tofan Ka Muqabla Kar Sakti Hai
Magr Ak Chez In Dono Ky Tokry Tokry Kar Sakti Hai
0r Wo Hai Galt Fahmi
Chaly Hai Phr Sy Ek Bar Zindgi Ki Raho Par
Dua Karna Dosto is Bar Koi Be Wafa Na Mily
Dushmno Ny Jo Dusmni Ki Hai
Dosto Ny Kya Kami ki Hai
Daway Dosti Ky Mughy Nahi Aty Yar
Ak Jan Hai Jab Dil Chahy Mang Lana
in Barishion sy Dosti Achi Nai Faraz
Kacha Tera Makan hai Kuch To Khyal Kar
Sano Fan Ay Sangta Nabawan Da
Saday Yar V Shakar Nasli Hai